Baghdad Wale Dulha Roshan Zameer


Baghdad Wale Dulha Roshan Zameer
Mere Peeran-e-peer Mere Peeran-e-peer

Khuda Ke Fazl Se Hum Par He Saaya Gauth-e-aazam Ka
Hamai Dono Jahaan Mai Hai Sahara Gauth-e-aazam Ka
Mureedi La Takhaf Keh Kar Tassali De Gulamo Ko
Qayamat Tak Rahai Be Khauf Banda Gauth-e-azam Ka.

Chorus:
Baghdad Wale Dulha Roshan Zameer
Mere Peeran-e-peer Mere Peeran-e-peer

Azeezo Kar Chuko Tayyar Jubh Merai Janaze Ko
To Likhde Na Kafan Par Naam-e- Wala Gauth-e-azam Ka
Farishte Roktai Kyun Ho Muje Jannat Me Jaane Se
Ye Dekho Haath Mai Daman Hai Kiska Gauth-e-azam Ka

Chorus:
Baghdad Wale Dulha Roshan Zameer (2)
Mere Peeran-e-peer Mere Peeran-e-peer (2)

Farishte Badra Sai Tak Saath Pohcha Ne Ko Jatte Thai (4)
Ye Darbar-e-elahi Mai Ye Rutbaa Gauth-e-azam Ka

Chorus:
Baghdad Wale Dulha Roshan Zameer (2)
Mere Peeran-e-peer Mere Peeran-e-peer (2)

Gayai Ek Vaqt Mai Sattar Mureedo Key Yahaan Aaka (4)
Samaj Mai Aanahi Sakhta Mu’ama Gauth-e-azam Ka

Chorus:
Baghdad Wale Dulha Roshan Zameer (2)
Mere Peeran-e-peer Mere Peeran-e-peer (2)

Mukhalif Kya Kare Mera Ke Hai Behad Karam Muj Par (4)
Khuda Ka Rehmatullil Aalami Ka Gauth-e-azam Kah (2)
Nedadai Ga Munadee Hashr Mai Yu Qadrariyo Ko
Idhar Hai Qadri Kar Lei Nazara Gauth-e-azam

Chorus:
Baghdad Wale Dulha Roshan Zameer (2)
Mere Peeran-e-peer Mere Peeran-e-peer (2)

Kuch Ghum He Nahi Aastanai Paak Ke Kuttai (4)
Zamana Pal Raha Hai Khaa Kai-e-tukhra Gauth-e-azam Ka

Chorus:
Baghdad Wale Dulha Roshan Zameer (2)
Mere Peeran-e-peer Mere Peeran-e-peer (2)

Agar Che Murg Sab Ke Bol Kar Khamosh Hotai Hei (4)
Magar Ha Murg Bole Gaa Hamesha Gauth-e-azam Ka

Chorus:
Baghdad Wale Dulha Roshan Zameer (2)
Mere Peeran-e-peer Mere Peeran-e-peer (2)

Peero Ke Aap Peer Hai Ya Gauth-e-almadad (4)
Ehle Safa Ke Meer Hai Ya Gauth-e-almadad

Chorus:
Baghdad Wale Dulha Roshan Zameer (2)
Mere Peeran-e-peer Mere Peeran-e-peer (2)

Terai Hi Haath Laaj Hai Yaa Peer Dastageer (2)
Hum Tujh Se Dastageer Hai Ya Gauth Almadad (2)
Sadqah Rasool Ă‚€“e- Paak Ka Joli Mai Daal Do (4)
Hum Qadri Fakeere Hai Ya Gauth Almadad

Chorus:
Baghdad Wale Dulha Roshan Zameer (2)
Mere Peeran-e-peer Mere Peeran-e-peer (2)

Humari Laaj Kis Ke Haat Hai Baghdad Valey Ki
Musibat Daal Deyna Ka Kaam Kiska Ghaus E Azam Ka
Nidadi Na Muradi Hashr Yuu Qadriyon Ko
Kidhar Hai Qadri Karley Nazara Ghaus E Azam Ka

Chorus

Jameele Qadri Sojan Se Qurban Apne Murshid Par (4)
Banaya Jis Ne Hum Jeso Ko Banda Gauth-e-azam Ka

✍By : Ishalvarigal Team



Post a Comment

0 Comments