Khuda ke fazlse hum par
Hai saaya gause aazam ka
Haemin dono jahan main hai
Sahara gause azam ka
Mureedi latakhaf kah ker
Tasalli dee ghulamon ki
Qayamat tak rahe be khauf
Banda gause azam ka
Hamari laaj kiske haath
Hai baghdad wale ke
Musibat taal dena kaam kiska
Ghous e azam ka
Farishtorokte kyun ho
Mujhe jannat mein jaane sei
Ye dekho haath main daman
Hai kiska gause azam ka
Jameeleqadari sau jaan se
Qurbaan apne murshid per
Banaya jis ne hum jaison
Ko banda gause azam ka
✍By : Ishalvarigal Team
0 Comments